Top 3 Fuel-Efficient Petrol Sub-Compact SUVs in India

Top 3 Fuel-Efficient Petrol  Sub-Compact SUVs in India – India mein mid-size SUV segment ek bahot bada hit raha hain introduce hone ke baad se hee, iss segment category mein Hyundai, Mahindra, Tata, Kia jaisi almost abb saare brands Indian market mein apni apni compact SUVs launch kar chuke hain  toh dekhne waali baat yeh hogi ki konsi top 3 petrol compact SUV jo aapko dengi best fuel economy aur ek lambi features ki list.

Top 3 Fuel-Efficient Petrol  Sub-Compact SUVs in India-

Mahindra XUV300-

Mahindra ki compact SUV XUV300 hain one of the safest compact SUV India ki, Mahindra XUV300 mein aapko 1.2L ka turbo petrol engine offer kiya jata hain jo produce karta hain 110.1PS ki power aur 200Nm ka torque. Iss petrol engine mein abb 6-speed manual aur 6-speed Autoshift dono transmissions ka options provide kiye jayenge. Mahindra ka turbo petrol engine kaafi efficient engine hain jo aapko 17Kmpl tak ki mileage dedega smooth aur powerful driving experience ke saath. Key features- dual zone automatic AC, 7-airbags, smart steering system, electric sunroof, auto-dimming IRVMs etc.

Price- Rs.7.95 lakh – Rs.11.12 lakh

Mahindra XUV300 Petrol AMT

Tata Nexon-

Tata Nexon XUV300 ke baad ek aur aisi Indian brand ki compact SUV jisme Tata ne koi compromise kiya hua safety features mein. Iss gaadi mein use kiya gaya hain high-strength steel jisse gaadi ka cabin kaafi strong ban jata hain collisions ke against. Nexon mein Tata 1.2L turbo-charged revotron petrol engine deti hain jo produce karta hain 120PS ki power aur 170Nm ka torque, aur deta hain 17-18Kmpl ki acchi mileage. Key features- ESP, Multi-drive modes, iRA technology, ABS, EBD, Height adjustable seatbelts etc.

Price- Rs.7.09 lakh – Rs.10.86 lakh

Tata Nexon Tectonic Blue

Maruti Suzuki Brezza-

Maruti Suzuki jo already fuel-efficient engines produce karta hain Brezza mein bhi unka highly fuel-efficient engine diya gaya hain jo dega aapko 17.03Kmpl-18.76Kmpl ki mileage. Brezza mein engine 1.5L ka K-series engine milega jo produce karega 101Bhp ki power aur 138Nm ka torque. Brezza petrol ki performance city mein kaafi acchi sahi milegi aur highway driving mein bhi aapko comfortable lagegi Maruti ki yeh compact SUV. Key features- LED projector headlamps, smart-play audio system, cruise control etc.

Price- Rs.7.39 lakh – Rs.11.20 lakh

Maruti Vitara Brezza


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram