Year 2021, auto manufacturer’s ke liye exciting year raha hai after the Pandemic struck 2020 jo auto fans ke liye disappointing year raha hai due to multiple lockdowns. 2021 me auto manufactures ne kafi interesting products launch kiye hai and customers ne bhi inn products me accha response diya hai. Year 2022 me hum only expect kar sakte hai ki customer expectation aur zyada badh jayenge aur manufacturers ko apna game aur up karna hoga
Top 4 Upcoming Cars in 2022 in India
Skoda Slavia
Skoda Auto ne recently all-new sedan Slavia ka global debut host kiya tha. Skoda Slavia, India line-up me Rapid ko replace karti hai. Skoda Slavia ko Skoda Auto ke India 2.0 strategy ke under as a second product launch kiya jaayega after Kushaq SUV. Iss car ko heavily localized MQB-AO-IN platform par build kiya gaya hai and 2-petrol engine options offer kiya jaane wala hai. Skoda Slavia ka launch FY22 ke Q1 ke liye slated hai.
2022 Hyundai Tuscon
Hyundai Motors ne globally all-new Tucon facelift ko reveal and launch kar diya hai. 2022 Hyundai Tuscon me major cosmetic changes milte hai jo iss car ko older Hyundai SUVs se distinct banate hai. Globally, Hyundai Tuscon me 2 petrol and 1 diesel engine options diya jaata hai and most probably, Indian market me hame same powertrains offer kiye jaa sakte hai.
2022 Mahindra Scorpio
Mahindra and Mahindra ke liye year 2020 and 2021kafi fruitful year raha hai in terms of vehicle launches. 2020 me Mahindra ne all-new Thar ko launch kiya tha while 2021 ke second half me XUV 700 ko launch kiya gaya. Dono he cars ne kafi customers ko attract kiya and inn cars par waiting bhi kai months tak chal raha hai. 2022 me Mahindra all new Scorpio ko launch karega jo kafi time se test kiya jaa raha hai on the Indian roads. Mahindra Scorpio ko festive season ke pehle launch kiya jaayega.
Toyota Hilux
Toyota Hilux, Toyota Motors ki pickup truck hai jo kafi time se international markets me sale par hai. India me pickup trucks ki utni demand nahi rahi over the years but gradually, customers iss segment me interest dikha rahe hai. Currently, Isuzu only brand hai in India jo apne pickup truck ko sell karta hai. Toyota Hilux ke launch hone se finally Isuzu V-Max ko competitor mil jaayega.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.