Top 5 Autonews of the week – 18th January – 24th January

Top 5 Autonews of the week – 18th January – 24th January – News highlights of the week include – MG Motors, Suzuki, Volkswagen, Hero Motor Corp and Citroen India and.

Top 5 Autonews of the week – 18th January – 24th January-

MG Hector Plus 7 Seater New Select Variant-

MG Hector Plus

MG Motors ne apne recently launched Hector Plus ke 7 seater model pe new Select variant ko introduce kiya hai at a price of Rs 18.32 lakhs (ex-showroom). Isi same price par, MG apne Hector 5-seater ke sharp version ko bhi offer karta hai. Iss Select variant me hume panoramic sunroof, 18 inch alloy wheels, leather seats,  4 airbags, wireless charger and auto dimming IVRM.

Made in India Suzuki Jimny Export Begins-

Made in India Suzuki Jimny Export

Suzuki India ne apne Gurugram facility me 3-door Jimny ka production start kiya tha. Ye produced vehicles ko India se export kiya jaane wala tha for international market. 20th January 2021 ko Suzuki India ne apne first shipment of 184 units of Suzuki Jimny ko Mundra Port se Colombia and Peru ke liye export kiya hai. Suzuki Jimny ke huge demand in South American and European markets ke wajah se Suzuki ko Jimny ke production ko Gurugram ke facility me start karna pada.

 Next-gen Volkswagen Polo Coming to India in 2021-

Next-gen Volkswagen Polo Debut in 2021

Volkswagen India 2021 me apne premium hatchback Polo ke next-gen model ko launch kar sakta hai. Next-gen Polo based hogi on MQB-AO-IN platform jiss par Volkswagen Taigun SUV based hai. Next-gen Polo ko first International market ke launch kiya jayega aur uske baad Polo ka India launch hoga. Iss car me hume 1.0-litre TSI petrol and 1.5-litre petrol engine dekhne mil sakta hai.

Hero Motocorp Production Milestone-

Hero Motocorp Milestone

Hero Motorcorp jo world ki largest two-wheeler manufacturer hai, unhone ek new production milestone achieve kiya hai. On 21st January 2020, Hero Motocorp ne apne 100th million two-wheeler ko apne Haridwar plant se roll out kiya. Hero Motorcorp, first Indian manufacturer bana jissne 10 crore two-wheeler ko manufacturer kiya. Hero ki 100th million motorcycle, recently launched Hero Xtreme 160R thi.

Citroen Opens its First Dealership Outlet in India-

Citroen C5 Aircross Front

French carmaker Citroen ne India me apna first dealership ko Ahmedabad me open kiya hai. Citroen Indian market ko enter karne wala hai with its first offering, C5 Aircross SUV. Iss car ko Citroen, Feb 1 ko unveil karne wala hai and by March iss car ko launch kiya jayega. Citroen apne presence ko baki cities me bhi expand karne wala hai aur jald hee Delhi, Gurgaon, Mumbai, Pune, Kolkata, Hyderabad, Bangalore and Chennai me apne dealerships ko open karne wala hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram