Top 5 Autonews of the Week – 11th January – 17th January

Top 5 Autonews of the Week – 11th January – 17th January – News highlights of the week include – Honda, Tesla, Hyundai, Mahindra, and Bajaj

Top 5 Autonews of the Week – 11th January – 17th January-

2021 Honda Africa Twin Adventure Sport Launched in India-

2021 Honda Africa Twin Adventure Sport

Honda 2 Wheelers ne 2021 Africa Twin Adventure Sports ko India me launch kar diya hai. 2021 model me hume two new color schemes dekhne milte hai – Darkness Black Metallic and Pearl Glare White Tricolor. Iske alawa hume aur koi bhi changes nahi dekhne milt. Honda ne 2020 me hee Africa Twin motorcycle ko update kiya tha with new engine and features. Iss bike me hume 1084cc, parallel-twin engine dekhne milta hai jo 99.2 HP and 103 Nm torque produce karta hai. 2021 Honda Africa Twin Adventure Sport ki price Rs 15.96 lakh (Manual) and Rs 17.50 lakh (DCT) hai.

Tesla India Officially Registered-

Tesla Motors India

Tesla motors, jo world ki one of the largest EV manufacturer hai unhone India me apna arrival announce kar diya hai. Tesla Motors ne apna Indian entity ko Tesla India Motors and Energy Private Limited ke name se register kar diya hai. Tesla Motors India ki cooperate office Bengaluru, Karnataka me hogi. Tesla India David Jon Feinstein, Vaibhav Tanjea, and Venkatrangam Sreeram ko apne directors appoint kiye.

Hyundai Motor Group to Stop Developing Diesel Engines-

Hyundai Creta Images

South Korean vehicle manufacturer, Hyundai Motor Group ne 2020 ke second half me new diesel engines ke development ko suspend kar diya. Hyundai Motor Group ne kaha ki who ab koi bhi new diesel engine launch nahi karega aur apna sara focus EV segment ke taraf shift karega. Haalaki, Hyundai ne kaha hai ki woh apne existing diesel engines ke use ko continue karega and partially revamp karega. Petrol engines koi such problem face nahi karenge.

More Powerful Mahindra Thar Petrol Under Development-

2021 Mahindra Thar

Mahindra Thar, 2020 ki one of the most anticipated car launches me se ek hai. Iss car ko launch hote hee kafi overwhelming response mila. Mahindra Thar currently petrol and diesel engine options ke saath available hai. Reports se hume pata chala hai ki, Mahindra more power Thar turbocharged petrol pe work kar raha hai. Iss engine variant ko 180 mStallion Pro ka badging mil sakta hai. Currently, Thar me hume 2.0-litre, 4-cylinder mStallion petrol unit dekhne milta hai jo 150 HP and 320 Nm torque produce karta hai. Turbocharged petrol engine ke introduction ke baad Thar ke power output 180 HP ho sakti hai.

2021 Bajaj Pulsar 220F Launched with Updated Instrument Cluster-

2021 Bajaj Pulsar 220F

Bajaj Auto ne 2021 Pulsar 220F motorcycle ko launch kar diya hai. Iss bike me hume new body graphics dekhne milta hai along with new color option – Black Blue and Black Red. Iss bike me hume ab new instrument cluster dekhne milta hai jo hume number of new and additional information deta hai jaise, real-time mileage, distance –to empty, trip meter and odometer. Inn updates ke alawa hume koi aur changes nahi dekhne milta hai. 2021 Bajaj Pulsar 220F ki pricing Rs 1.25 lakh (ex-showroom) hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram