Top 5 Cars With Maximum Waiting Time – Year 2020 mein kaafi saari gadiyo ka launch scheduled tha but jaisa ki aap sab hee jaante hain pandemic ki wajah se kaafi saare launches delay kardiya gaye the 2021 Jan-Feb period mein, and abb 2021 ke third month March mein India mein kaafi acchi amount mein new launches hue and inn newly launched gaadiyo ki waiting period bhi utni hee high hain kyuki inn gaadiyo mein se bahot gaadiya highly anticipated thi for example new-gen Mahindra Thar toh kaafi logo ne apna interest dikhate hue booking karayi hain inn top 5 cars ki jisse yeh gaadiya currently experience kar rahi hain highest waiting periods apne dedicated customers tak pachochne mein.
Top 5 Cars With Maximum Waiting Time-
Car: | Waiting period: |
1.Nissan Magnite | 7 – 8 months |
2. New 2021 Mahindra Thar | 9 – 10 months |
3. Kia Sonet | 5 – 6 months |
4. New 2020 Hyundai Creta | At least 4 months can go up to 10 months |
5. Maruti Suzuki Ertiga | 6 – 7 months |
Nissan Magnite-
Nissan Magnite hain Nissan ki first offering India mein kaafi famous hue sub-compact SUV segment ke liye, and yeh gaadi launch hote hee apne design and list of features offered by Nissan ki wajah se popular ho gayi. Nissan Magnite mein Nissan offer karta hain 1.0 turbo-petrol and 1.0L naturally aspirated engine with manual and automatic gearbox options.
2021 Mahindra Thar-
Mahindra ki much awaited new gen Thar rahi ek instant hit launch hone ke baad hee and currently highest waiting period hain Mahindra Thar ka amongst all the cars, Mahindra offer karta hain 2.2L mHawk diesel and 2.0L mStallion turbo-petrol engine with both manual and automatic gearbox options.
Kia Sonet-
Kia India mein kaafi popular ban chuki thi Seltos ke launch ke baad se hee and later Kia ne launch kari apni sub-compact SUV jo hain Kia Sonet, Kia Sonet sub-compact SUV segment mein best-selling gaadi rahi hain launch hone ke baad se.
Kia Sonet mein Kia offer karta hain 1.5L CRDi diesel, 1.0L turbo-petrol and 1.2L petrol engine options with automatic and manual gearbox options.
2020 Hyundai Creta-
Hyundai Creta ka new-gen model launch kiya tha Hyundai ne march 2020 mein and even after one year of launch iss SUV ki sales mein rise hee dekha gaya hain, Hyundai Creta mein Hyundai is offering 1.5L petrol, 1.5L diesel and 1.4L turbo-petrol engine options with automatic and manual transmission options.
Maruti Suzuki Ertiga-
Maruti Suzuki ki successful MPV Ertiga bhi currently waiting period mein hain and customers ko face karna pad raha hain minimum of 6 months ki waiting period, Maruti Suzuki offer karta hain only one engine option jo hain 1.5L petrolwith 5-speed manual and 4-speed automatic gearbox option.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.