Top 5 CNG Vehicles Sold in India – Indian automobile market me CNG vehicles ko extensively use kiya jaata hai. Indian market me Petrol + CNG engine, tourist vehicles me kafi popular hai. CNG ke use se hume better fuel efficiency milti hai and Petrol and Diesel se comparatively, CNG cheaper hai. Aaj hum baat karenge top 5 CNG vehicles ko jisse Indian market me sell kiya jaata hai.
Top 5 CNG Vehicles Sold in India-
Maruti Suzuki Ertiga-
Maruti Suzuki Ertiga, Maruti Suzuki ki MPV vehicle hai jo commercial and tourist purpose ke liye use ki jaati hai. Maruti Ertiga ke launch se hee iss car me hume petrol + CNG engine ka option mil jaata hai. 2018 me Maruti Ertiga ka facelift launch hua tha aur CNG option hume Vxi variant me available hai. Iss variant me hume dual tone interior, MID instrument cluster, manual a/c, remote keyless enrty, audio system etc. jaise features offer hote hai. Ertiga CNG me hume 1462cc, Petrol + CNG engine offer hota hai jo 91 HP and 122 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed manual transmission offer kiya gaya hai. Maruti Suzuki Ertiga Vxi CNG variant ka price Rs 9.14 lakhs (ex-showroom) hai.
Hyundai Grand i10 NIOS-
Hyundai apne Grand i10 NIOS ke Magna and Sportz variant me CNG engine ka option provide karta hai. Iss car me hume gloss black front grille, LED DRLs, roof rails, dual tonne interiors, projector fog lamps, rear parking sensor and camera, dual front airbags, etc. jaise features offer hote hai. Grand i10 NIOS me hume 1197cc, petrol + CNG engine milta hai jo 69 PS power and 95 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed manual transmission milta hai. Hyundai Grand i10 NIOS CNG variant ki price Rs 6.79 lakhs to Rs 7.33 lakhs (ex-showroom) hai.
Hyundai Santro-
Hyundai apne entry level hatchback vehicle Santro ke Magna Executive and Sportz Executive variants me CNG engine offer karta hai. Iss car me hume rear parking sensor, ABS with EBD, MID display, 2 DIN audio, Bluetooth AUX, USB connectivity, steering mounted controls, etc. jaise features mil jaate hai. Santro me hume 1086cc, petrol + CNG engine offer hota hai jo 60 PS power and 83 Nm torque produce karta hai. Iss car ki pricing Rs 5.86 lakhs to Rs 5.99 lakhs (ex-showroom) hai.
Maruti Suzuki Celerio-
Maruti Suzuki Celerio me hume CNG engine options green Vxi and Vxi (O) variants me offer hote hai. Iss car me hume chrome front grille, manual ac, front and rear power windows, dual front airbags, ABS, reverse parking sensor jaise features offer kiye jaate hai. Maruti Celerio me K10B, 998cc, petrol + CNG engine use kiya jaata hai jo 58 HP and 78 Nm torque produce karta hai. Iss car ki pricing Rs 5.72 lakhs to Rs 5.78 lakhs (ex-showroom) hai.
Maruti Wagon R-
Maruti Wagon R one of the most popular hatchback vehicles hai Indian market me. Iss car me hume Petrol + CNG engine ka option mil jaata hai. Iss car me dual tone interiors, front power windows, manual a/c, front dual airbags and rear parking sensors offer kiye jaate hai. Iss car me hume same petrol + CNG engine setup dekhne milta hai jo hume Celerio CNG me bhi dekhne mila. Ye engine 58 HP and 78 Nm torque produce karti hai. Maruti Wagon R CNG ka price Rs 5.45 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.