Top 5 Motorcycle Launches in India in 2020 – 2020 Indian Auto Industry ke liye kafi tough year raha hai. 2020 ke start me humne AutoExpo dekha jahan par kai saare interesting launches aur concept motorcycles dekhne mile. AutoExpo ke theek baad COVID-19 ki worldwide outbreak ne pura world ko lockdown me daal diya. Dheere Dheere jab sab kuch normal hone par aa raha the, tab auto industry bhi progress ke signs dikha raha tha. Iss year me itne ups and downs ke baad bhi manufacturers ne consumers ke liye kafi interesting motorcycles launch kiya aur aaj hum Top 5 Motorcycle launches ki baat karne wale hai.
Top 5 Motorcycle Launches in India in 2020-
Hero Xtreme 160R-
Hero Xtreme 160R ko February 2020 me launch kiya gaya tha. Ye bike based hai Hero 1R concept pe jisse ECIMA 2019 me showcase kiya gaya tha. Hero Xtreme 160R, Hero ki premium motorcycle hai jisme hume new engine, new chassis and new design dekhne milta hai. Ye bike 160cc segment ki one of the best motorcycle me se ek hai. Iss bike me 163cc, single cylinder engine use kiya gaya hai jo 15 HP aur 14 Nm torque produce karti hai. Iss bike ki pricing Rs 1.02 lakh – Rs 1.05 lakhs (ex-showroom) hai.
Bajaj Dominar 250-
Bajaj Dominar 400, Bajaj ki flagship motorcycles hai jisne Indian market me kafi accha sales kiya hai. March 2020 me Bajaj ne Dominar 250 ko Indian market me introduce kiya. Bajaj Dominar 250 ke looks Dominar 400 se exactly identical hai. Dominar 250 based hai KTM Duke 250 pe aur iss bike par bhi hume same 250cc engine dekhne milta hai. Iss bike ko differently tune kiya gaya hai aur ye bike 26.6 HP aur 23.5 Nm torque produce karti hai. Iss bike ki price Rs 1.65 lakhs (ex-showroom) hai.
Husqvarna 250 Twins-
Swedish Motorcycle brand Husqvarna, jisse KTM own karta hai, India me debut kiya tha in IBW 2019. Husqvarna ne Indian market me entry karte hue two motorcycles ko launch kiye – Vitpilen & Svartpilen. Ye dono motorycles, scrambler motorycles hai jisme hume neo-retro design dekhne milta hai. Inn dono motorycles ko Bajaj ki Chakan facility me manufacture kiya jata hai. Inn bikes me hume KTM Duke 250 ka engine dekhne mil jaata hai with same power figures, Ye bikes me 250cc, single cylinder engine dekhne milta hai jo 30 HP aur 24 Nm torque produce karte hai. Husqvarna 250 Twins ki pricing Rs 1.85 lakhs (ex-showroom) hai.
Royal Enfield Meteor 350-
Royal Enfield ne November 2020 me most awaited Meteor 350 motorcycle ko launch kiya. Ye motorcycle built hai on new chassis aur isme hume completely new engine dekhne milta hai. Iss bike me hume 350cc, single cylinder engine dekhne milta hai jo 20.2 HP aur 27 Nm torque produce karta hai. Iss bike me hume circular headlights, LED DRLs, LED taillamps, and navigation system with Bluetooth connectivity jaise features dekhne mil jaate hai. Iss bike pricing Rs 1.75 lakhs – Rs 1.90 lakhs (ex-showroom) hai.
KTM 390 Adventure-
KTM Adventure 390, KTM India ki first adventure motorcycle hai. Iss bike ko January 2020 me launch kiya gaya. Ye bike based hai on Duke 390 but isko primarily touring ke liye design kiya gaya hai. Iss bike pe hume 373cc, single cylinder engine dekhne milta hai jo hume Duke 390 me bhi dekhne milta hai. Ye bike 43 HP aur 37 Nm torque produce karti hai. Iss bike pe hume adventure spec features dekhne mil jaate hai jaise, long-travel suspension, 19 inch front wheel, 17 inch rear wheel, engine bash plate, and etc. Iss bike ki pricing Rs 3.04 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.