Top 5 Safest Car in India Under 15 Lakhs – Logo ki knowledge bad rahi he or car lete time vo ab safety ko priority dene lage he. Or isika result aaj hum aapse share kar rahe he. To chaliye agar aap bhi 15 lakh ke budget me car plan kar rahe he or aapko bhi aapki or apni family ki safety ka khyal he to Aaj aapke liye Top 5 safetst car ki list aapke sath share kar rahe he.
Inme se bacho ke liye bhi konsi jyda safe he vo bhi aage aapko pata chalega. And sabse achi bat ye he ki 5 me se 4 car Indian manufacturer se he.
Top 5 Safest Car in India Under 15 Lakhs –
1st Mahindra XUV300 –
XUV300 compact suv segment me sabse safest car he. Ise Global NCAP test me 5 star rating mili he or sath hi 4 star child safety rating mili hui he. Safety ke bad driving or features ki bat kare to yah gadi petrol or diesel dono me hi kafi badiya he. Isme aapko disel AMT version bhi mil jata he or teeno hi engines ke humne review kiye huye he aap chahe to YouTube pe dekh sakte he.
Or price ki bat kre to ye gadi thodi premium he apne rivals se but kai aese features he jo ki aapko isme hi milenge jese Dual Zone climate control, 7 Airbags and front parking sensor
2nd Tata Altroz –
Tata Altroz Apne segment ki phli gadi he jo ki 5 star safety rating le ke aai he. Or isme bhi aapko 3 star child protection milta he jo ki is segment ki dusri gadi ban gai he. Altroz ki price bhi bahut achi he 6 lakh se hi ye shuru ho jati he. Sath hi ye india ki phli sabse itni sasti car he jisme aapko company se customization ka option milta he he.
Aap apne need ke according isme ‘Customisation pack’ dalwa sakte he jo ki aapke booking ke bad company se ban ke aati he. Or ye facilities hone se gaadi ke sabhi variant ki demand kafi achi rahti he. Bat kare driving ki to iske dono hi engine kafi linear power delivery karte he.
3rd Tata Nexon –
Nexon india ki pahli sub compact suv he jo 5-star rank le ke aai he. But phir XUV300 child protection me jyada score leke aai to vo first rank pe pahuch gai. Nexon ne child safety me 3-star score kiye he. And jo ab new facelift aaya he nexon ka vo dekhne me kafi badiya lagti he or SUV’s stance deti he. Vahi seating comfort bhi gadi ka kafi badiya he.
India me Nexon ke customers jo he vo almost sabhi apni gadi se khus he. sath hi iski running cost bhi kafi kam he. Jisse iski ownership cost dusri gaadiyo ke compare me kafi kam padti he.
4th Tata Tiago/Tigo –
Small hatchback ya small compact sedan ki bat aati he to yaha bhi tata safety ko leke sabse aage he. Vahi Indian’s ki sabse favorite company Maruti Suzuki ne to Safety test karane se hi mana kar diya he. Iska matlab aap log kafi ache se samjh sakte he.
Bat kare Tiago to Tigor ki to dono gadi 4 star rating leke aai he or child protection me 3 star. Ye to score aap read kar rahe he. But jab aap gadi me bethenge tab aapko ye feel bhi hota he ki aap kisi majboot build quality wali gaadi me bethe he. Or dono hi cars ke review aap humare youtube channel pe dekh sakte he.
5th Volkswagen Polo –
India me Polo ko 10 sal ho chuke he or kai sare update company ne kiye he jo ki jyadatar engine ko leke huye he. Looks me polo me thode bhot hi cosmetic updates dekhe gaye he. But aaj bhi polo ka look logo ko kafi pasand aata he. Or iska seating comfort bhi acha he. German manufacturer ki ye gadi ko 4 star safety rating mili he or 3 star child safety rating mili he.
Polo me milne wala 1.0L TSi engine apne segment me sabse achi performance provide karta he. Or polo ki handling bhi kafi badiya he. 3 Digits pe aap aasani se isse cruise kar sakte he or 6 speed gearbox hone se aap low rpm pe high-speed pe cruise karte huye kafi badiya fuel efficiency bhi nikal lete he.
So Guys ye he kuch Top 5 Safest Car in India Under 15 Lakhs ab aap hume bataye ki aap inme se apne liye konsi choose kar rahe he?
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.