Auto in Hinglish

Top Selling 110cc Scooters in India

Top Selling 110cc Scooters in India – India fastest growing scooter market hai for 110cc scooters. Ye segment all time high demand mein rehte hai. Yeh 110cc scooters highly fuel efficient hote hain aur inka maintaince cost bohot kam hai. Aaj hum discuss karenge ki konse 3 bestselling 110cc scooters hain Indian market mein available. Jo aapko denge best fuel efficiency, low maintenance aur bahot saare features.

Top Selling 110cc Scooters in India –

Honda Activa 6G

Honda Activa 6G

Honda Activa India ka Best-selling scooter, iska reason hain Honda’s Bulletproof reliability, strong build quality aur low maintenance after sales.Honda Activa 6G mein 109.51cc ka engine with PGM-Fi fuel injection system diya gaya hain jo produce karta hain 7.68bhp and 8.79Nm torque. Honda Activa 6G mein 5.3-litre ka petrol tank diya gaya hain, Activa 6G ki mileage 45kmpl hain. Base model Activa 6G mein Honda halogen headlamps aur analogue instrument cluster offer karti hain. Wahi Activa 6G ke Deluxe model mein Honda Full LED headlamps aur semi-digital instrument cluster offer karta hain.

 TVS Jupiter –

TVS Jupiter

TVS Jupiter India ka 2nd best-selling scooter hain Honda Activa ke baad. TVS Jupiter ki high demand ke reasons hain comfortable ride, acchi mileage aur practical features. TVS Jupiter mein TVS ne 109.7cc ka single engine diya hain jo produce karta hain 7.3bhp and 8.4Nm torque. Base model mein normal analogue unit milti hain, aur top variant ZX mein semi-digital Cluster with LCD screen dekhne mil jayega. TVS Jupiter mein 12-inch alloy wheels aur charging port bhi milte hai.

Hero Maestro Edge –

Hero Maestro Edge ek premium 110cc Scooter offering hai. Hero Maestro Edge mein 110.9cc ka single unit engine diya gaya hain jo ata hain air-cooling aur fuel-Injection ke saath. Yeh engine 8bhp and 8.75Nm torque produce karti hain. Hero Maestro BS6 ki full tank range around 230kms ki hain, aur iska Fuel tank capacity 5litres ka hain. Hero Maestro mein LCD Screen, side stand down indicator, under-seat lamp aur charging socket jaise features dekhne mil jayenge aapko.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram