Top Selling Electric Two-Wheelers in February 2021 – Electric Vehicles and Scooter, India me fast pace se grow ho rahe hai. Government of India bhi electric mobility ko support kar raha hai and encourage kar raha customers ko use more and more battery operated vehicles. Recenlty, India me petrol and diesel ke prices me sharp increase dekhne mila hai jiske wajah se kai customers, EVs me switch karne ka decision le rahe hai for their daily commute. February 2021 me India me 6,057 electric scooters sell kiye hai. YoY comparison kare toh hume massive 170 per cent growth dekhne milta hai jahan February 2020 ke sales number 2,243 units the.
Top Selling Electric Two-Wheelers in February 2021-
Image Source – Auto Punditz
Hero Electric-
Hero Electric, electric scooter ke sales chart ko top karta hai jahan iss brand ne February 2021 me 2,201 units sell kiye. February 2020 me Hero Electric ke sales figures only 614 units. YoY growth me Hero Electric ne massive 258.5 per cent growth observe kiya hai jo kafi promising hai.
Okinawa-
Okinawa Scooter ek aur famous EV brand hai jo apne electric scooters ke liye famous hai. Okinawa ne February 2021 me 1,059 units sell kiye aur iss list me 2nd position par aata hai. YoY growth ki baat kare toh, iss brand ne decent 59.5 per cent growth observe kiya hai jahan February 2020 ke sales number 664 units the.
Ampere-
Ampere Electric another EV manufacturer jo apne electric scooters ke liye popular hai. Ampere ne February 2021 me 800 units sell kiye and 179.7 per cent ka YoY growth record kiya jahan February 2020 me only 286 units sell hue.
Ather Energy-
Ather Energy another electric two-wheeler company hai jo fast pace se grow kar raha hai. Ather Energy ne February 2021 me 624 units sell kiye aur iss list me 4th position par aata hai. YoY growth ki baat kare toh February 2020 me Ather ne only 369 units sell kiye.
Iss list me other electric two-wheelers manufacturers jaise, Pure EV, Benling India, TVS, Bajaj, etc. bhi apne electric vehicles se decent growth capture kiya hai.
Electric Vehicles hee transportation ka future hai aur aane wale times me hum aur zyada manufacturers ko Indian market me apne products ke saath dekh sakte hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.