Auto in Hinglish

Top – Selling Two Wheeler Brands in India in January 2021

Top – Selling Two-Wheeler Brands in India in January 2021 – Year 2020, Indian Auto Industry ke liye kafi tough year raha hai. 2020 me Auto Industry ne around 3-4 months ka standstill observe kiya due to COVID-19 pandemic. Iss industry ne steady recovery dekha starting from August 2020.

January 2021 me around 14,23,629 two wheeler units sell kare gaye the. YoY growth ki baat kare toh, January 2021 me hume 6.54 percent growth dekhne mila hai jahan January 2020 me only 13,36,204 units sell kiye gaye the.

Top – Selling Two-Wheeler Brands in India in January 2021-

Hero Motorcorp-

Hero Splendor Plus

January 2021 ke top selling two wheeler brand Hero Motorcorp hai. Hero Motorcorp ne iss position ko kafi time se hold karke rakha hai aur Indian market ko dominate kar raha hai. January 2021 me Hero ke sales 4,67,776 units the. YoY comparison ki baat kare toh hume slight –4.16 percent ka decline dekhne mila hai jahan January 2020 me Hero ne 4,88,069 units sell kiye the.

Honda 2 Wheelers-

Honda Grazia Sports Edition Sports Red

Honda 2 Wheelers ne January 2021 ke chart me 2 position ko hold kiya hai. Honda 2 Wheelers ne January 2021 me 4,16,716 units sell kiye as compared to 3,74,114 units sold in January 2020. Honda 2 Wheelers ne YoY growth me 11.39 percent increase dekha hai.

TVS-

TVS Jupiter

January 2021 ke top-selling list me 3rd position pe TVS aati hai. TVS ne January 2021 me 2,05,216 units ka sales record kiya hai. TVS ne Jan 2021 me massive 25.86 percent YoY growth dekha hai jahan TVS ne January 2020 me 1,63,007 unit sell kar paya.

Iss list me 4th position par Bajaj Auto aati hai jissne January 2021 me 1,57,404 units sell kiye aur 11.46 percent ka YoY growth dekha. Bajaj Auto ke baad 5th position par aati hai Royal Enfield jiske January 2021 sales numbers 64,372 units hai. Royal Enfield ne slight -1.71 percent ka YoY decline dekha hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram