Toyota Brezza Launch Date in india

Toyota Brezza – Guys, India me Toyota Brezza ki launch date kya hai?, Price kitni hogi? Maruti Suzuki Brezza se kitni alag hogi? ye sabhi questions roj aa rahe the comment box me and inbox me. And aaj in sabhi questions ke answer aapko mil jayenge. Corona ki vajah se auto industry ka routine to badla hi hai but jo aane wale event the unka schedule bhi change ho gaye hai or kuch to postpone ho gaye hai.

School ke timetable me change hone ka itna bura nahi lagta tha jitna kisi gadi ki launching postpone or cancel hone ka lagta hai. Chalo ab point ki bat karte hai.

Toyota Brezza Launch Date in India?

India me Toyota Brezza November me launch ki jayegi but abhi launch date final nahi hui hai. Jese hi hoti hai aapko Instagram story pe sabse pahle pata chal jayega to touch me rahna. And ye confirm kab hua? Ye bhi to aapke man mai aa raha hoga. To guys ye aaj hi confirm hua hai ki finally jo second vehicle Toyota or Maruti Suzuki ke partnership program me vo Brezza hi hone wali hai or isi sal November me launch bhi karenge.

Apni pahli gaadi Glanza se kaafi acha response mila Toyota ko or sath hi suzuki ko bhi faida hua hai. But faide se jyda sikh mili hai. Ki customer sirf badge change karke gaadi nahi chata hai. Logo ne kam kimat or Toyota ki service ke chalte Glanza ko jarur se purchase kiya but sabhi cahate the ki usme kuch or bhi changes ho to best hota.

Toyota Brezza Launch date

Toyota Brezza VS Maruti Suzuki Brezza –

Mudde pe ab aaye! To jara dhyan se padna… Exterior me aapko front almost 50% new design me milega. Usme kai sare changes kiye jayneg jisse Toyota Brezza Suzuki Brezza se alag dikhe. Vahi side silhouette almost similar rahega but alloy alag honge. Vahi piche Bumper me or spoiler me changes kiye jayenge.

Aajate hai interior mai. To yaha aapko full black interior ki jagah pe dual-tone interior mileaga vo bhi black and badge colour mai. Almost sabhi Indians ko ye colour ka interior pasand aa hi jata hai.

Vahi features ki bat ki jaye to dono hi gaadiyo me similar features honge unme koi badlaw nahi kiye jayenge. Ha variant ki badging alag hogi or Brezza ke VXI ZXi or ZXI plus variant Toyota se share kiya jayega. Base variant ko sift suzuki pe hi rakha jayega (LXI)

Toyota Brezza Price in India –

India me Toyota Vitara Brezza ko Maruti Suzuki Vitara Brezza se almost 40k-80k kam price me sell kiya jayega jo ki Baleno or Glanza ke case me apan sabhi log dekh hi chuke hai. To almost price jo hai vo 8 Lakh se 11 Lakh tak rahegi. Dono gaadiyo me Automatic TC gearbox wale variant bhi share kiye jaynege.

Toyota Brezza price in India

Toyota Brezza Specifications –

Specs completely Brezza ke hi honge. Vahi 1.5L BS6 petrol engine aayega jo ki 105ps ki power 138nm of torque ke sath generate karta hai. Or 5-speed ka manual gearbox and 4-speed ka torque convertor gearbox ke sath aane wali hai.

Toyota hi aese brand bachi thi jisse ki bahut jyda umeed hai logo ko ki uski taraf se bhi ek compact SUV aaye to Brezza ko kaafi achi tarike se india me Toyota le kar aayega or haan aap chahe to ruk sakte hai iske liye kyuki Brezza NCAP test me 4-star le kar aai thi and suzuki lineup me ye one of the safest vehicle hai.

2020 Suzuki Brezza Full Review (Toyota Brezza Review)


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

 

Instagram