Toyota RAV4 Crossover SUV Spotted Testing in India – Toyota RAV4, ek compact crossover SUV hai jisse International market me 1996 se sell kiya jaata hai. Iss car ko predominantly Japanese and US market me dekha jaata hai. Toyota ne iss car ke 5th generation model ko 2018 me introduce kiya jisme hume hybrid engine dekhne milta hai. Recently, iss car ko undisguised Indian roads par spot kiya gaya hai.
Toyota RAV4 Crossover SUV Spotted Testing in India-
Toyota RAV4 Indian Variant Details-
Toyota RAV4 ko Indian market me as a CBU unit launch kiya jaa sakta hai. Iss car ko Toyota ke new TNGA platform par build kiya jaayega. Iss car ko ek strong and muscular styling diya jaata hai. Iss car me hume hexagonal patterned front grille, LED DRLs, LED headlmaps, LED projector lamps ( in higher variants), roof rail and sunroof jaise elements offer hote hai.
Iss car ke interior ki baat kare toh hume digital instrument cluster, 7 inch touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto, dual zone climate control, soft touch material on dashboard, etc. jaise features dekhne mil jaate hai.
Toyota RAV4 SUV Engine Details-
Toyota RAV4 ko Indian market me petrol-hybrid engine ke saath launch kiya jaa sakta hai. Iss car me hume 2.5-litre, 4-cylinder petrol hybrid engine mil sakta hai jo 218 HP offer karta hai. Iss engine ko CVT gearbox ke saath combine kiya jaayega. Iss car ko hybrid engine ke saath launch karne ke wajah se all-wheel drive provide kiya jaayega.
Safety features ki baat kare toh hume 8 airbags, VSC, Rear Camera and Parking Sensor, TPMS, Hill Start Assist Control, Driving Modes, etc. jaise features offer ho sakte hai. Toyota RAV4 ka launch mid-2021 me expect kiya jaa sakata hai aur CBU unit hone ke wajah se iss car ko Rs 60 lakhs ka price tag diya jaa sakta hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.