Toyota Urban Cruiser Mid-Grade Variant Details – Toyota Motors and Maruti Suzuki ne 2019 me agreement sign kiya jahan dono manufacturers jointy work karenge aur cross badgde vehicles sell karenge. Iss agreement ke under, humne Toyota Glanza ko launch hote hue dekha jo rebadged Maruti Suzuki Baleno hatchback hai.
Toyota ne Indian market me SUV segment ko Fortuner jaise vehicle ke saath capture karke rakha hai par compact SUV segment jo day by day kafi popular ho raha hai, usme Toyota koi bhi vehicle offer nahi karta. Toyota ne recently iss segment ko enter kiya apne Urban Cruiser compact SUV ke saath jo hai rebadged Maruti Vitara Brezza.
Toyota Urban Cruiser Mid-Grade Variant Details-
Toyota Urban Cruiser Mid-Grade-
Toyota Urban Cruiser ko 3 variants me offer kiya jata hai – Mid, High and Premium. Toyota Urban Cruiser kafi identical hai Maruti Vitara Brezza se in terms of chassis, suspension and other mechanicals. Urban Cruiser ki Mid-Grade variant equal hai to Vitara Brezza’s VXI variant.
Urban Cruiser ke Mid – Grade variant me hume black steel wheels with wheel caps, LED projector headlamps, LED DRLs, electrically adjustable OVRMs, rear defogger and roof rails jaise elements dekhne milte hai.
Interior ki baat kare toh hume iss variant me keyless entry, engine start/stop button, stereo system with steering mounted controls, automatic climate control and power windows jaise features dekhne milte hai.
Urban Cruiser ki Mid-Grade variant manual and automatic transmission ke saath available hai jiski pricing Rs 8.40 lakh and Rs 9.80 lakhs (ex-showroom) hai.
Toyota Urban Cruiser Engine-
Toyota Urban Cruiser me hume Maruti ki 1.5-litre K16 naturally aspired petrol engine dekhne milta hai jo 103 HP and 138 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed manual and 4 speed automatic gearbox ke saath offer kiya jaata hai.
Toyota Urban Cruiser ko six colour options ke saath offer kiya jata hai – Silver, Orange, Grey, Blue, White and Brown.
Toyota Urban Cruiser ki price Rs 8.40 lakhs – 11.30 lakh (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.