Triumph Trident 660, Triumph Motorcycles India ki entry level offering product hai jisse April 2021 me launch kiya gaya tha at an introductory price of Rs 6.95 Lakhs (ex-showroom). Triumph Motorcycles India ne aaj announce kar diya hai ki Trident 660 ke prices ko Rs 50,000 se increase kiya jaayega from February 1st and iss bike ke revised prices ab Rs 7.45 Lakhs (ex-showroom) hai.
Triumph Trident 660 Price Increased by Rs 50,000 in India
Triumph Trident 660 Details
Triumph Trident 660 ka width aur height 790mm and 1080mm hai. Iss bike ka wheelbase 1407mm hai. Trident 660 ka seat height 805mm hai. Triumph Trident 660 ko India me CKB route ke through laya gaya aur Triumph ke Manesar facility me assemble kiya jaa raha. Iss bike pe full LED lighting, multi-function TFT screen equipped hai. Trident 660 me 17 inch ke front and rear tyres bhi offer hote hai.
Braking ki baat kare toh iss bike pe hume twin 310mm floating disc and 255mm rear disc dekhne milta hai. Iss bike pe dual channel ABS dekhne milta hai. Saath hi, hume ride-by-wire throttle, switchable traction control, two riding modes jaise features offer hote hai. Iss bike pe Showa upside-down fork and preload adjustable rear suspension offer hota hai.
Triumph Trident 660 Engine
Triumph Trident 660 me hume 660cc, 3-cylinder, liquid cooled engine offer hota hai jo 81 PS power and 64 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 6 speed gearbox milta hai.
Triumph Trident 660 compete karti hai with Kawasaki Z650 and Ducati Scrambler Icon se.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.