Triumph Trident 660 to be Launched in India on April 6

Triumph Trident 660 to be Launched in India on April 6 – Triumph Trident 660, Triumph motorcycles ki most affordable naked motorcycle hai jisse kuch time pehle hee unveil kiya gaya tha. Trident 660 ek street fighter motorcycle hai jisse neo-classical styling diya gaya hai jo orginal 1968 model ko tribute pay karta hai. Triumph ne ab announce kiya hai ki woh iss motorcycle ko Indian markets me April 6 ko launch karega. Kuch dino pehle, iss motorcycle ke prices bhi website par leak hue.

Triumph Trident 660 to be Launched in India on April 6-

Triumph Trident 660 Images

Triumph Trident 660 Details-

Triumph Trident 660 ka width aur height 790mm and 1080mm hai. Iss bike ka wheelbase 1407mm hai. Trident 660 ka seat height 805mm hai. Triumph Trident 660 ko India me CKB route ke through laya jayega aur Triumph ke Manesar facility me assemble kiya jaayega. Iss bike pe full LED lighting, multi-function TFT screen equipped hai. Trident 660 me 17 inch ke front and rear tyres bhi offer hote hai. Braking ki baat kare toh iss bike pe hume twin 310mm floating disc and 255mm rear disc dekhne milta hai. Iss bike pe dual channel ABS dekhne milta hai. Saath hi, hume ride-by-wire throttle, switchable traction control, two riding modes jaise features offer hote hai. Iss bike pe Showa upside-down fork and preload-adjustable rear suspension offer hota hai.

Triumph Trident 660

 

Triumph Trident 660 Engine-

Triumph Trident 660 me hume 660cc, 3-cylinder, liquid cooled engine offer hota hai jo 81 PS power and 64 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 6 speed gearbox milta hai.

Triumph Trident 660 ko India me Rs 6.95 lakhs (ex-showroom) price ke saath launch kiya jaa sakta hai. Launch hone par, ye bike compete karegi with Kawasaki Z650 and Ducati Scrambler Icon.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram