TVS Apache 200 4V Super Moto ABS – Guys aaj TVS ne ek good news share kari hai or 200cc Segment ki one of the best bike ko or kam price me launch kiya hai. Ek hi Indian company hai jo ki kam kimat me ache products de rahi hai jinpe trust kiya ja sake. To kya naya hai TVS Apache 200 4V Super Moto ABS version me chaliye jante hai.
TVS Apache 200 4V Super Moto ABS Price –
Jo normal dual-channel setup ke sath Apache RTR 200 4v aati hai uski price 1.28 Lakh Ex-showroom Delhi hai and jo Aaj launch hui hai TVS Apache 200 4V Super Moto ABS uski price company ne 1.23 Lakh Ex-showroom Delhi rakhi hai.
Whats New in TVS Apache 200 4V Super Moto ABS?
Isme Aapko Single channel ABS milega jisse ki aap slide kar sakte hai track pe bike ki power ka maja or ache se le sakte hai. Or kuch stunts bhi kar sakte hai. Or agar aapko ye sab nahi karna hai to Dual Channel ABS wala variant abhi bhi aapko TVS dealership pe milta rahega aap usko purchase kar sakte hai.
TVS Apache 200 4V Super Moto ABS Specifications –
Engine – 197.75cc single-cylinder, 4-stroke, 4-valve oil-cooled
Power – 20.5 PS @ 8,500 RPM
Torque – 16.8 Nm @ 7,500 RPM.
Gearbox – 5 Speed Manual
Apache 200 4V Features –
Apache apne mai segment first features jese GTT Or SmartXconnect jese features milte hai. GTT ka demo mene aapko mere Apache RTR 200 4V BS6 ke review me diya tha aap chahe to use ek bar dekh sakte hai. And SmartXConnect Feature bhi mene usi video me samjhaya hua hai. Jise ki aap apna phone bike se via bluetooth connect kar sakte hai.
Usme navigation, Parking, Trip, Mileage Service reminder, Call/message alert jese kai sare useful features mil jate hai. And real-life me isee use karna kaafi aasan hai or useful bhi to definitely ab ye features dusri companies ko bhi apni bikes me dena chahiye.
Iske Alawa Feather touch, LED headlamps, claw styled position lamps, High performing Radial Tyre Or RT-Fi jese features se less hai.
TVS Apache 200 4V Super Moto ABS Colours –
Apache 200 4v aapko Gloss black and pearl white colour me mileagi or dono hi colour red colour ke graphics ke sath aate hai or kaafi ache lagte hai. And colour ek subjective topic hai sabke liye alag alag hota hai but mujhe personally iska white colour kafi acha lagta hai. Jisme bike humesha new jesi dikhti hai.
So guys ye hai all new TVS Apache 200 4V Super Moto ABS. Isse related aapko kuch bhi doubt ho to aap niche comment kare ya direct Instagram pe message send karde.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.