TVS Zeppelin Launch Confirmed for 2021

TVS Zeppelin Launch Confirmed for 2021 -TVS ki highly anticipated Zeppelin motorcycle ka launch finally 2021 ke liye confirm kiya gaya. Ye information hume exclusively sources ke through pata lagi hai. TVS Zeppelin, company ki first cruiser motorcycle hogi. TVS Zeppelin ko company two varaints me launch karegi- Zeppelin and Zeppelin R. TVS ne recently “Zeppelin R” ka trademark application bhi file kiya hai.Iss motorcycle ki launch around June me ho sakti hai.

TVS Zeppelin Launch Confirmed for 2021-

TVS Zeppelin Concept Images

 

TVS Zeppelin-

TVS Zeppelin ko as a concept motorcycle showcase kiya gaya tha in AutoExpo 2016. Iss concept motorcycle me hume inverterd forks, all-LED headlamp, rear monoshock, front and rear disc braked, and spoked wheels with tubeless tyres jaise features dekhne mile. Hum expect karte hai ki TVS production variant me more or less the same features offer kare. TVS ki iss cruiser motorcycle ko distinctive styling bhi diya jayega.

TVS Zeppelin Concept

TVS Zeppelin Engine-

AutoExpo 2016 me showcase kiye hue TVS Zeppelin concept variant me hume 220cc air cooled engine dekhne mila jo electric motor ke saath aided tha. Aise hybrid motor ko hum 4-wheelers me dekhte hai. Production variant me hume Zeppelin and Zepplin R two engine options ke saath dekne mil sakta hai. Iss bike pe hume ek 200cc engine aur 310cc engine dekhne mil sakta hai jisse TVS ne Apache 200 4V aur Apache RR 310 jaise bikes pe use kiya hai. Hum expect karte hai ki TVS Zeppelin me hume 200cc, oil cooled engine dekhne mile jo 20 HP aur 16 Nm torque produce kare. TVS Zeppelin R verison me hume bigger 310cc, liquid cooled engine dekhne mil sakta hai jo 33 HP and 27 Nm torque produce kare.

TVS Zeppelin Concept Engine

TVS Zeppelin ko aggressive pricing ke saath launch kiya jaa sakta hai. Iss bike hum around Rs 1.50 lakhs (ex-showroom) ke price bracket me dekh sakte hai. TVS Zeppelin compete karegi Honda CB 350, Royal Enfield Meteor 350 and Benelli Imperiale 400 se.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram