Guys Aaj ka topic he Upcoming Kia Cars in India 2020 Bahut se logo ko Kia se expectations he ki jese seltos hit rahi he. Vese hi kia ki aane wali cars bhi Indian market me hit rahegi. Or acha performance degi Ab aaj kia lineup ki aane wali gadiyo ki details jan lete hai.
Jisse aapko bhi clear ho jayega ki aapke liye konsi car sahi he. And kya kia ki taraf se aese koi car aa bhi rahi he ki nahi jo aapke kam aa sake or aap uske liye wait kare. To Chaliye jan lete he Upcoming Kia Cars in india 2020 ke bare me.
Upcoming Kia Cars in India 2020
Kia Sportage india –
Ye India me direct rival hone wali he Honda CR-V ki or Hyundai Tucson ki. Is gadi ki design aap niche photo me dekh sakte he jo ki bilkul hi alg he India me milne wali kisi gadiyo se.
Bat kare agar specifications ki to isme aapko 1.6L TGDi Petrol engine milega jo ki 130bhp ki power and 114nm ka torque generate karta he. Vahi diesel ki bat kare to gadi me aapko 2.0L ka hybrid diesel engine mil sakta he jo ki 182bhp ki power or 400nm ke aas-pass ka torque genrate karega. Dono hi engines me aapko 6 speed ka manual transmission or 8 speed dct gearbox ke options milenge.
Expected Price he KIA Sportage ki 17-22 Lakhs (Ex-Showroom)
Kia Stinger GT india –
India me Stinger GT audi A4 or BMW 3 series GT ki direct rival hone wali he. is gadi ki design bhi apne segment me milne wali dusri gadiyo se kafi alg or sporty hogi isme kai sare advanced features diye jayenge sath hi safety-wise bhi ye car kafi achi build quality ki hone wali he.
Isme milne wale he 3 powertains. Jinme sabse phle aapko milega 2.0L ka petrol engine jo ki around 242bhp ki power or 353nm ka torque genrate karega. isme aapko 6 speed ke manual transmission ka hi option milne wala he.
Vahi Dusra 3.3L ka TGDi isg Petrol engine milega jisme aapko 361bhp and 510nm ka torque milega sath hi 8-speed ka dct gearbox with paddel shifters ke sath.
Bat kare agr diesel engine ki to isme 2.2L ka CRDi isg engine mileage jo ki around 197bhp ki power 440 nm or torque generate karega. sath hi isme bhi aapko 8-speed automatic gearbox milega paddle shifters ke sath me. Ye Upcoming Kia Cars in india 2020 ki list ki sabse costly car he.
Expected price he KIA Stinger ki 40-45 Lakhs (Ex-Showroom)
Kia Soul EV india –
Jab India me kai sare manufacturers Electric vehicles launch kar rahe he to KIA kese piche rah sakta he. KIA ke pass bhi globally sale ho rahi Soul EV available he jo ki India me 2020 ke mid tak unveiled ki ja sakti he. KIA Soul ek electric suv hone wali he jiseme kai sare features honge jo ki driver ki ride ko easy karne ke liye bhi honge or sath hi comfort and convince ko badane me bhi help karenge.
Hyundai kona or MG ZS EV ki launch ke bad is segment me kia hi apni gadi ko leke aayga iski khasiyat iski range or fast charging hone wali he. Price ki bat kare to ye Electric suv India me 22-25Lakhs ke price braket me launch ki ja sakti he.
Kia Carnivals india –
India me kia ki kisi gadi ki sabse jyada intejar kiya ja raha he to vo he carnival. Ye direct rival hogi Toyota Innova crysta ki. Gadi me luxury seats premium leather materials ka use kia jayega sath hi isme 2 engine options mileage. Ye MUV 7 seater or ek thoda top of the line 6 Seater variants ke sath launch ki jani he.
Pahla 2.0L petrol engine ho sakta he jo ki sirf automatic gearbox ke sath available hoga or dusra 2.2L diesel jo ki around 182bhp ki power or 360 nm ka torque generate karega. Diesel engine ke sath 6 speed ka manual or DCT gearbox ka option aa sakta he.
Kia Picanto india –
Kia ki sabse affordable car hone wali he KIA Picanto. Ye India me Hyundai i10 NIOS ki rival hogi or sirf petrol engine ke sath launch ki jayegi jo ki 1L turbo petrol engine ho sakta he or 85bhp ki power and 122nm ka torque generate karega isme 5-speed manual or torque converter gearbox ka option diya jayega.
Car ko space or driving pleasure ko dhyan me rakh ke launch kiya jana he. Jisse ki ye daily users or Youngsters ko attract kar sake. Isme bhi safety ke liye 6 airbags, ABS, EBD or Safety standards ke sabhi rules follow karte huye features diye jayenge.
So Guys ye he Upcoming Kia Cars in India 2020 i hope aap logo ko details achi lagi hogi and koi doubt hoto hume massage kariye.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.