Guys, TVS Motorcycle India ne aaj New Apache RTR 200 4v ko unveil kar diya hai. Or isme jo update kare hai vo sabhi kafi usefull updates hai. Jese trend me hai ki colour ya graphics change karke companies bol deti hai ki bike ka facelift launch kiya hai aesa na karek RTR lovers ke man mai respect or bada li hai. To chaliye jante hai ki UPDATED Apache RTR 200 4v me kya naya offer kiya hai TVS ne.
Updated New Apache RTR 200 4V New Features –
Company ne Apache New RTR 200 4v me 3 riding modes diye hai. URBAN, RAIN, TRACK modes.
URBAN – is mode me bike se linear power delivery hogi And ABS se aapko quick response milega jisse aap traffic me or fast and slow move kafi ache se kar payenge
RAIN – isme aapko ABS ka maximum response milega jisse ki rainy season me stopping distance jyada na rahe. Or ye aapko lever me bhi feel hoga ki strong bites aa rahi hai brakes se.
TRACK – engine ki complete power aapko is mode me milegi jisse aap lap ko jald se jald kar paye or ABS aapko kafi kam hi disturb karega jisse ki corner and end pe aap bike ki raw performance and khud ki skills ko or ache se improve kar paye.
New Apache RTR 200 4V Updates –
Bike me first in segment adjustable Showa ke suspension diye gaye hai Front or rear dono hi suspensions ko aap apne ride ke accordingly adjust kar sakte hai. Bike me Clutch and brake lever bhi 3 way adjustable hai jisse almost 95% Indian apne hath se ache se manage kar sakenge. (Like aapke hath ke size ke according)
Sath hi brakes ko bhi update kiya gaya hai or pahle se jyada precise banaya gaya hai taki rider ka confidence bike pe bana rahe bike ki last limit tak.
2020 NEW Apache RTR 200 4v New Colours –
Apache RTR 200 4V Updated model aapko 3 naye colours ke sath milega – New Matt Blue, Gloss Black, Pearl White.
Price of Updated Apache RTR 200 4V –
Bike single channel ABS ke sath me 1.25L or double channel ABS ke sath me 1.31L Ex-Showroom price pe available hai. and ye price state to state thoda upper niche ho sakta hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.