Auto in Hinglish

Volkswagen Virtus Sedan to be Unveiled in March 2022

Volkswagen Virtus, jo Volkswagen India ke lineup me Vento ko replace karne wali hai, iss car ko Indian market me March 2022 me unveil kiya jaa sakta hai. Global market me, Volkswagen Virtus ko sale kiya jaata hai but the next-gen model ko India and global market ke liye build kiya jaayega.

Volkswagen Virtus Sedan to be Unveiled in March 2022

Volkswagen Virtus Spy Images

Image Source – Autocar India

Volkswagen Virtus Details

Volkswagen Virtus ke test mules ko kai baar Indian roads par test kiya jaata hua spot kiya gaya hai and ye car Volkswagen ke line-up me Vento ko replace karegi. Like the Skoda Kushaq – Volkswagen Taigun, Volkswagen Virtus ko same platform par build kiya jaayega as to be seen on Skoda Slavia. Virtus ko heavily localized MQB-AO-IN par build kiya jaane wala hai under the India 2.0 strategy. While Skoda Slavia ko November 2021 me unveil kiya jaa chukka hai, Virtus ko March 2022 me unveil kiya jaayega and May 2022 me launch kiya jaa sakta hai.

Volkswagen Virtus me redesigned front grille, new headlamps, new taillamps, redesigned front and rear bumper, new set of front and rear fog lamps, panoramic sunroof, etc. dekhne mil sakta hai. Vento ke comparison me, Virtus ke dimension larger honge which shall result in roomier cabin of the car.

Interior me hume new dashboard layout with digital instrument cluster, new touchscreen infotainment system with connected tech, auto climate control, steering mounted controls and many other features offer ho sakte hai.

Volkswagen Virtus Images

 

Volkswagen Virtus Engine

Volkswagen Virtues me same engine options offer honge as seen on the Skoda Slavia. Iss car me 1.0-litre TSI 3-cylinder petrol engine offer hota hai jo 113 HP and 178 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual transmission and 6 speed automatic torque converter ka transmission option milta hai. Iske alawa Volkswagen Virtus me 1.5-litre TSI, four-cylinder petrol engine bhi offer kiya jaane wala hai jo 147 HP power and 250 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual and 7 speed DSG gearbox ka option milta hai.

Volkswagen Virtus ko Skoda Slavia se premium pricing me launch kiya jaayega. Ye car compete karegi with Maruti Ciaz, Honda City, and Hyundai Verna se.Volkswagen Virtus

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram