What Is EBD?

What Is EBD? – Hum sabhi ne aajkal ki modern gaadiyo ki features list mein padha hain, dekha hain aur suna hain ki uss gaadi mein ABS aur EBD hain but exactly EBD hota kya hain, uska kya use hain aur uski importance kya hain jiski wajah se EBD ek essential safety feature prove hota hain aapko bataenge hum simple words mein.

What Is EBD?-

What is EBD? :Electronic Brake Force Distribution-

EBD basically electronic brake force distribution ki short-form hain aur EBD simple words mein agar baat ki jaaye toh ABS ka saath deta hain jab bhi koi gaadi sudden or hard breaking karti hain.

EBD Logo

How EBD works?-

Electronic brake force distribution hota hain sub-system Anti-lock braking system(ABS) aur electronic stability control system(ESC) ka, EBD system stabilise karta hain amount of braking force jo gaadi ke wheels ko provide ki jaati hain hard breaking ke time par. EBD system operate karta hain speed sensors ke support ke saath jisme speed sensors calculate karte hain gaadi ki speed and then accordingly sense karlete hain ki gaadi imbalance hone waali hain yaah skid ho sakti hain and ultimately sensors EBD system ko information dedete hain jiski wajah se EBD amount of brake jo wheels ko supply ho rahi hoti hain usko control aur monitor karta hain.

EBD Image Represtation

What is the use of EBD?

Electronic Brakeforce distribution system ka main purpose anti-lock braking system and electronic stability control system ke similar hee hota hain, jo hain to stabilise the vehicle undergoing heavy braking. EBD technology design kari gayi gaadi ke wheels ko heavy braking ke time par support karne ke liye, EBD dynamically control karta hain amount of brake force jo har ek wheel ko provide kari jaati hain kisi bhi unavoidable heavy braking ke time.

 

Post By – Apoorv Arya


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram