Wireless Charging For Electric Vehicles Could Be Possible | New Study Suggests

Wireless charging for electric vehicles could be possible- According to a recent research by Cornell University wireless charging for electric vehicles abb possible hone ke chances nazar aate dikh rahe hain. Abb yeh plan kaise implement kiya jayega real life situations mein and hum kab iss technology ka fayda utha payenge woh toh dekhne waali baat hogi. But filhal Cornell University ki kari gayi research and analysis ko hum thoda sa unfold karenge aapke saamne and bataenge ki konse aspects ko dhyaan mein rakh ke iss new technology ka idea aya.

Wireless Charging For Electric Vehicles Could Be Possible- 

Introduction to the idea: Wireless charging for electric vehicles-

Cornell University ki research ke according unke researchers try kar rahe hain wireless charging technology laane ki and yeh technology basically allow karegi electric vehicles ko charge karne ki while in motion and just by changing of lanes on the road.

Khurram Afridi jo lead researcher rahe hain iss new technology ke peeche kaafi lambe time se issi topic par research kar rahe hain koshish kari jaari hain by him and his team to make this idea come true. Abb yeh idea aya electric vehicle ki mobility ko dhyaan mein rakh ke aya hain, idea based hain on the concept jo hain electric vehicles ki battery and charging facility ki availability.

Electric vehicles ki range agar compare kare normal internal combustion vehicle se toh kaafi kam hain and jitne petrol pumps hain all over the world utne charging stations abhi tak nahi develop hue hain. So charging an electric vehicle hamesha ek task rehta hain jab bhi aap highway drive par ho.

So iss major problem ko address karne ke liye yeh technology ko develop kiya jaa raha hain, iss technology ki presence mein electric vehicles charge ho sakti hain wirelessly roads par chalte hue hee.

Is it really possible ? : wireless charging for electric vehicles-

Currently under Professor Khurram Afridi’s guidance prototype design kiya jaa chuka hain for wireless charging for electric vehicles. But still iss technology ko abhi 5 se 7 saal tak aur lag sakte hain to launch in real life world.

Current prototype ko develop kiya gaya hain jo charge kar sakta hain ek vehicle ko jo hain 18 cm away, iss technology ke under charging plates install kari jayengi roads mein and agar ek electric vehicle exactly uss charging plate par continuously chalti rahegi toh fast charging bhi possible ho payegi.

Major PRO’s of this technology-

overall dekha jaaye toh iss technology ke kaafi saare fayde honge agar implement ho saki toh. Iske kuch PRO’s are listed below:

1. Less time consuming

2. Charging can be done while the car is moving toh aap apni destination tak pahochte hue bhi charge kar sakte hain apni EV.

3. Fast charging available on the go.

4. No specially built charging stations are required jiska matlab space issue nahi hoga kahi bhi.

Few CON’s of the technology-

Iss technology ke agar PRO’s hain toh CON’s bhi hain and kuch CON’s jo humare according practical life mein face kiye jaa sakte hain:

1. Not readily available: currently wireless charging tech sirf phones mein effective prove hui electric cars ke scene mein yeh iss technology ko abhi tak testing phase mein hain and jaisa ki humne aapko bataya abhi bhi aur 5 se 7 saal lagenge iss technology ko real life mein implement karne mein,

2. Expensive to setup: Inital stages mein iss technology ko implement karna kaafi expensive prove ho sakta hain kyuki roads ke neeche charging plates install kari jayengi toh full ek road ka patch redevelop karna padega and aise hee kms of roads redevelopment karni padengi.


A word from the team: so guys recent rise in covid cases ki wajah se India mein medical aid mein shortage experience ki jaari hain, and people in need toh kaafi suffer kar rahe hain. So we urge you all to take all the necessary precautionary measures jaise masks pehene, use of sanitizers and ho sake toh ghar ke bahr na nikle jitna ho sake and yes guys apne aas paas hygiene maintain kare. Also bina apni safety compromise kiye needy logo ki help zaroor se kare.

IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram