2021 Maruti Suzuki Swift – Top 3 Changes – Maruti Suzuki Swift, one of the most selling cars hai Indian market me. 2020 me Maruti Swift ne most sold car of the year ka record bhi achieve kiya with over 1.60 lakhs units sold. Maruti Suzuki ne recently, 2021 Swift ko launch kiya jisme hume significant updates and changes dekhne mile hai. Aaj hum 2021 Maruti Suzuki Swift ke top 3 changes ke baare me baat karenge.
2021 Maruti Suzuki Swift – Top 3 Changes-
New Front Design-
2021 Maruti Suzuki Swift me hume new front look dekhne milta hai. Maruti Suzuki ne 2021 Swift me cross mesh grille and chrome trim piece jaise elements dekhne milte hai jo hume previous model me nahi dekhne mile. Overall, new Swift ko ek fresh look milta hai from the front end. Iske alawa koi aur design changes nahi kiya gaya hai.
New Powerful Engine-
2021 Maruti Swift ki most significant change hi iss car ki new and more powerful engine. Swift me ab hume 1.2-litre, 4 cylinder, K12N dualjet petrol engine milta hai jo 90 HP and 113 Nm torque produce karta hai. Previously Maruti Swift me hume 1.2-litre VVT petrol engine offer hota tha jo 82 HP and 113 Nm torque produce karta tha. New-gen Swift older model se zyada powerful and economic bhi hai.
Updated Pricing-
Previous gen Swift ka pricing Rs 5.49 lakhs (ex-showroom) se start hota tha. Engine and cosmetic updates ke 2021 model ka pricing ab Rs 5.73 lakhs se start hota hai.
Variant | Price |
LXI Manual | Rs 5.73 Lakhs |
VXI Manual | Rs 6.36 Lakhs |
VXI AGS | RS 6.86 Lakhs |
ZXI Manual | Rs 6.99 Lakhs |
ZXI AGS | Rs 7.49 Lakhs |
ZXI+ Manual | Rs 7.77 Lakhs |
ZXI+ Dual Tone Manual | Rs 7.91 Lakhs |
ZXI+ AGS | Rs 8.27 Lakhs |
ZXI+ Dual Tone AGS | Rs 8.41 Lakhs |
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.