MG Hector & Hector Plus with CVT Transmission Launched at Rs 16.51 Lakhs – MG Hector ko Indian market me 2019 me introduce kiya gaya tha. Hector SUV ne launch ke saath hi apna mark bana liya aur kafi kum time me popular ho gaya. Iss SUV me he loads of features offer kiye jaate hai jisse consumers attract hue. 2021 me MG ne facelifted Hector ko launch kiya jisme hume few cosmetic changes dekhne mile. Aaj, MG ne Hector and Hector Plus (6-seater) models ko CVT transmission ke saath equip kiya hai.
MG Hector & Hector Plus with CVT Transmission Launched at Rs 16.51 Lakhs-
MG Hector CVT Transmission Details-
MG Hector and Hector Plus me hume three engine options dekhne milta hai – 1.5-litre turbocharged petrol, 1.5-litre turbocharged petrol hybrid and 2.0-litre turbocharged diesel. Transmission options ki baat kare toh, 1.5-litre turbocharged petrol engine me hume 6 speed manual and DCT gearbox ka option milta hai, 1.5 –litre turbocharged petrol hybrid and 2.0-litre turbo diesel engines me hume only 6 speed manual transmission ka option milta hai.
MG ne ab hume CVT transmission 1.5-litre turbo petrol engine ke saath offer kar raha hai. Hector and Hector Plus me hume ab hume DCT transmission ke saath 8 speed CVT transmission ka option bhi milta hai. Iss 1.5-litre turbo petrol engine me hume 143 PS power and 250 Nm ka torque milta hai.
MG Hector SUV Details-
MG Hector, MG Motors ki India ke pehli offering hai jisse 2019 me launch kiya gaya tha. 2021 me MG ne updted facelifted Hector ko launch kiya. MG Hector me hume front chrome grille, full LED headlamps, LED DRLs, LED tail lamps, 18 inch diamond cut alloy wheels, wireless charging, and i-SMART connectivity with HINGLISH voice command options dekhne mil jaata hai. MG Hector Plus, Hector ki 6 seater variant hai. MG Hector and Hector Plus CVT ko Smart and Sharp variants me offer kiya jaata hai. MG Hector CVT ki pricing Rs 16.52 lakhs (ex-showroom) se start hoti hai and Hector Plus CVT ki pricing Rs 17.21 lakhs (ex-shworoom) se.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.