Maruti Ertiga Facelift Spied Yet Again| Launch in March 2022

Maruti Ertiga Facelift, Maruti Suzuki ki upcoming launch ho sakti hai after the launch of all-new Baleno. Maruti ne apne vehicles ko update karna shuru kiya from 2021 jahan all-new Celerio ko launch kiya gaya. Celerio ke baad ab 23rd February ko Baleno facelift ko launch kiya jaane wala hai. Maruti ke pipeline me Vitara Brezza, XL6 and Ertiga ke facelift launches bhi lined-up hai. Kuch time pehle humne Maruti Ertiga Facelift ke spy images ko share kiya tha jahan iss car ko minial changes ke saath spot kiya gaya. Aak hume Maruti Ertiga Facelift ke more spy images dekhne milte hai jahan iss car ke almost finished product ko test karte hue spot kiya.

Maruti Ertiga Facelift Spied Yet Again| Launch in March 2022

Maruti Ertiga Facelift Spy Images - Front

Maruti Ertiga Facelift Details

Maruti Ertiga Facelift me minimal cosmetic changes hi offer hone wale hai. The most prominent changes jo hume new model me dekhne mil sakta hai hai woh hai new front grille. Ertiga Facelift me larger hexagonal front grille dekhne mil sakta hai with bigger Suzuki badging in the centre. Iske alawa iss car me koi aur changes nahi diya jaayega.

Maruti Ertiga Facelift ko HEARTECT platform par build kiya jaayega. Iss car ke dimensions, previous model se similar hai. Iss car me halogen projector headlamps, LED tail lamps, alloy wheels, OVRMs with turn indicators, chrome elements, front fog lamps, etc. jaise features dekhne milenge.

Maruti Ertiga Facelift Spy Images - Rear

On the interior, Ertiga Facelift me hume slight updates dekhne mil sakta hai in the technology front. Iss car me currently 17.8cm touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and android auto offer kiya jaa sakta hai. Facelift upgrade ke baad iss car me bigger and updated touchscreen infotainment offer kiya jaa sakta hai. Also, 2022 Maruti Baleno me segment-first Heads Up Display bhi offer kiya jaane wala hai and chances hai ki Ertiga me bhi same feature include kiya jaye.

Maruti Ertiga Facelift Engine

Maruti Ertiga Facelift me same engine offer kiya jaane as seen on the previous model. The only change in the mechanical hume dekhne mil sakta hai in the form of CVT gearbox instead of AMT gearbox. Earlier humne report kiya tha ki Maruti apne upcoming launches me AMT gearbox ke jagah par globally offer CVT gearbox ko include karne wala hai. However, new Baleno me still AMT gearbox hee diya jaayega and Ertiga facelift first Maruti vehicle hogi jisme 6 speed CVT gearbox dekhne mil sakta hai. Ertiga facelift ke baad, Maruti iss CVT gearbox ko Vitara Brezza, XL6, Ciaz and S-Cross me bhi include kar sakta hai.

Ertiga Facelift me same 1.5 – litre K15B, 4-cylinder, Petrol engine offer kiya jaayega jo 103 HP power and 138 Nm torque produce karta hai. Iss engine 5 speed manual transmission offer kiya jaata hai. Maruti Ertiga Facelift ko  Petrol + CNG variant me bhi launch kiya jaayega.

Maruti Ertiga ki current pricing Rs 7.95 Lakhs to 10.69 Lakhs (ex-showroom) hai. With the facelift model incoming, hum expect kar sakte hai ki iss car ki pricing marginally increase ho.

Maruti Ertiga Facelift Spy Images

 

Source – MRD Cars

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram