Citroen Rolls-Out First Production Unit of C5 Aircross SUV in India – French carmaker Groupe PSA, Indian market ko enter karne wali hai Citroen brand ke saath. Citroen C5 Aircross, brand ki pehli car hogi India me launch hogi. Iss car ka launch initially 2020 ke liye planned tha but pandemic ke wajah se launch ko delay kar diya.
Citroen ne previously announce kiya tha ki woh C5 Aircross SUV ka India unveil, 1st Feb 2021 ko karne wale hai. Aaj Citroen India ne apne Tamil Nadu plant me se C5 Aircross SUV ka first production model ko roll-out kar diya hai.
Citroen Rolls-Out First Production Unit of C5 Aircross SUV in India-
Citroen C5 Aircross SUV Details-
Citroen India ki pehli offering, C5 Aircross SUV hogi. Iss car Citroen CKD route ke though layega aur isse Citroen ke Thiruvallur Plant in Tamil Nadu me assemble kiya jayega. Iss car ke regarding hume thode information available hai.
Iss car ko Groupe PSA ke EMP2 platform par build kiya jayega. Iss car ke dimension 4500mm x 1840mm x 1870mm hai. Iss car ki wheelbase 2730mm hai aur iska ground clearance 230mm hai.
Citroen C5 Aircross Features & Engine-
Citroen C5 Aircross me hume 12.3 inch digital instrument cluster dekhne milta hai. Iss car me 8 inch touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto bhi offer kiya jaata hai. Additionally, iss car me hume panoramic sunroof, dual zone climate control, electric tailgate, front and rear parking sensor, airbags and ESC jaise other features bhi offer kiye jaate hai.
Citroen C5 Aircross India me 2.0-litre diesel engine ke saath available hoga. Ye engine 180 PS power and 400 Nm torque produce karti hai. Iss engine ko 6 speed manual aur 8 speed automatic transmission ke saath combine kiya jayega. In future hum iss car me petrol engine ka option bhi dekh sakenge.
Citroen C5 Aircross SUV ka launch hum March 2021 me expect kar sakte hai. Ye car Indian market me Jeep Compass, Hyundia Tuscon and Skoda Karoq se compete karti hai. Iss car ki pricing around Rs 25 lakhs – Rs 30 lakhs ho sakta hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.