Mahindra Thar Bench Seat Variant to be discontinued – August 2020 me Mahindra ne next-gen Thar ko Indian consumers ke saamne unveil kiya. Ye gaadi ke looks aur features dekh kar kafi customers ne iss car ko book bhi kar diya hai. Iss car ki demand inti zyada ho gayi hai ki iski waiting period 5-6 months ho chuki hai.
Mahindra Thar Bench Seat Variant to be discontinued-
Mahindra Thar Bench Seat Variant-
2020 Mahindra Thar ko Global NCAP Safety Test me 4 star ki rating de gayi. Iss test me Thar ke higher variant (4 seater) ko test kiya gaya tha na ki Thar ki base variant (6 seater) jisme hume bench seats dekhne milte hai. Global NCAP Safety test ki policies ye kehti hai ki agar safety test, car ki base variant pe kiya jaye toh rating higher models pe bhi applicable hai. Mahindra Thar ki higher variants ki safety standars base variant ke comparison me kafi high hai jiss wajah se 2020 Mahindra Thar ko 4 Star rating mil paya.
Mahindra ne Global NCAP team se ye confirm kiya ki, jab tak results publish ki jayegi, tab tak Mahindra Thar ke bech seat variant (6 seater) ko discontinue kar dega. Mahindra ko agar future me Thar ke bench seat variant ko re-introduce karna hai toh unka previous rating cancel ho jayega aur safety test re-conduct karna padega.
Mahindra Thar Safety Features-
2020 Mahindra Thar me hume 4 seater variant ka option bhi mil jata hai. Ye variant 6 seater variant ke comparison me zyada safer hai. Iss variant me hume 3 points seatbelts with pre-tensioner, dual airbags, ABS, ESP, roll-cage protection, anti-rollover protection, panic brake signal, rear parking sensor, hill hold and hill decent control jaise safety features dekhne mil jaate hai.
2020 Mahindra Thar me hume petrol aur diesel engine ka option milta hai. Isme 2.0-litre mStallion petrol engine dekhne milta hai jo 112 PS power aur 300 Nm torque produce karti hai. Saath hi hume 2.2-litre mHawk diesel engine bhi dekhne milta hai jo 97 HP aur 300 Nm torque generate karti hai. Dono hi engine options ko 6 speed manual or 6 speed automatic gearbox ke saath available kiya hai.
2020 Mahindra Thar ki pricing 11.90 Lakhs se 13.65 Lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.