Maruti Suzuki Swift Registers Highest Monthly Sales Average – Maruti Suzuki Swift, Indian market me ek famous hatchback vehicle hai. Maruti Suzuki ne Swift ko 2005 me introduce kiya tha aur iss car ki sales kafi zyda promsing hai. 2018 me Maruti Suzuki ne 3rd gen Swift ko launch kiya tha.
Maruti Suzuki Swift Registers Highest Monthly Sales Average-
Maruti Swift Sales from June 2020 to November 2020-
JATO dynamics ke data ke according, Maruti Suzuki ne over 15,778 units of Swift sell kiye every month from June 2020 to November 2020. Maruti Swift ne every month sales chart ko top kiya hai jo iss car ki popularity batata hai Indian market me. Maruti Suzuki Swift ke popularity ka main reason hai, iss car ke looks, Maruti Suzuki ki brand value and most importantly iss car ki fuel economy. Current generation Maruti Swift ka claimed fuel economy 21.21 kmpl hai.
Maruti Swift Facelift-
Suzuki ne United Kingdom me Swift ka facelift already launch kar diya hai. Hum expect karenge ki India me jo variant launch hogi, woh international variant se kafi similar hogi. Iss car me hum new front grille dekh sakte hai jo honeycomb pattern aur chrome strips ke saath hoga. Saath he hum revised bumper and LED headlamps dekh sakte hai. Iss facelift me hum new 1.2-litre dualjet petrol engine dekhne mil sakta hai.
Maruti Swift Specification-
Current gen Swift ko Maruti Suzuki ne 2018 me launch kiya tha. Iss car me hume projector headlamps, fog lamps, LED DRLs and Sporty alloy wheels dekhne mil jaate hai. Interior me hume 7 inch touchscreen infotainment system bhi dekhne mil jaata hai. Maruti Suzuki ne BS6 norms ke wajah se diesel engine ko discontinue kar diya, jisse iss car ko hum 1.2-litre K-series petrol engine ke saath dekh sakte hai jo 81 BHP aur 113 Nm torque produce karti hai. Iss engine me maual aur AMT gearbox available hai.
Maruti Swift ki price INR 5.19 lakhs se INR 8.02 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.