Renault Kiger Specs, Features, and Other Details Officially Revealed

Renault Kiger Specs, Features, and Other Details Officially Revealed – Compact SUV segment Indian market me kafi popular segment hai. Iss segment me saare manufacturers apne vehicles ko launch kar rahe hai aur isse market me competition bhi badh raha hai. Renault ne recently apne subcompact SUV, KIGER ka concept variant showcase kiya tha jissne kafi attention grab kiya. Renault, Kiger ke production variant ko bhi Indian roads pe test kar raha tha jiske spy shots hume dekhne mile. Aaj Renault ne apni portfolio ko expand karte hue, Kiger subcompact SUV ko globally unveil kar diya hai.

Renault Kiger Specs, Features, and Other Details Officially Revealed-

Renault Kiger

Renault Kiger Specification-

Renault Kiger ko CMF-A platform pe built kiya gaya hai. Issi same CMF-A platform par Nissan Magnite ko bhi built kiya hai jo recently launch hui. Iss CMF-A platoform ko develop kiya gaya hai as a part of Nissan – Renault – Mitsubishi alliance. Ye platform multiple body types aur powertrains ko support karta hai aur manufacturing cost ko bhi reduce karta hai. Renault Kiger me hume split LED headlamps with LED DRLs, front grille, LED tail lamps, and roof rails jaise features dekhne milta hai. Interior me hume, horizontally positioned AC vents, 8-inch touch screen infotainment system with Apple Carplay and Android Auto, 7-inch digital instrument cluster, automatic climate control, steering wheel with mounted controls, wireless charging and push-button start/stop jaise features dekhne milte hai. Iss car me hume 16-inch diamond cut alloy wheels dekhne milta hai.

Renault Kiger Front

Renault Kiger Engine-

Renault Kiger hume only petrol engines me offer hota hai. Iss car me hume 1.0-litre naturally aspired petrol engine dekhne milta hai jo 72 PS power aur 96 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed manual and 5 speed AMT gearbox ke saath combine kiya jata hai. Renault Kiger me hume 1.0-litre turbocharged petrol engine ka option bhi milta hai jo 100 PS power aur 160 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hume 5-speed manual aur 5 speed automatic CVT transmission milta hai.

Renault Kiger compete karegi Hyundai Venue, Kia Sonnet, Maruti Vitara Brezza, Tata Nexon, Nissan Magnite, Ford Ecosport aur Mahindra XUV 300 se.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram