Year 2021, Tata Motors ke liye kafi successful year raha hai jahan unhone new products launch kiye for the Indian market. 2021 ko start karte hue, Tata Motors ne January me all-new Safari ko launch kiya. Tata ne Safari ke iconic nameplate ko reintroduce kiya for the 7-seater Harrier. Tata ne Altroz me turbo petrol variant ko bhi introduce kiya late in 2021. Finally, Tata ne end of 2021 all-new Punch micro SUV ko launch kiya. EV segment me, Tata ne Tigor EV ko launch kiya and aim karega ki 2022 me EV lineup ko strengthen karne
Tata Motors Sales Analysis for 2021
Tata Nexon
Tata Nexon, brand ki sub-4 meter SUV ke 2021 me around 95,678 units sell hue hai. Tata Motors ke passenger vehicle lineup me ye car most selling vehicle hai. Iss car ke highest sales, July me record hue jahan around 10,287 units sell hue the. Tata Nexon, Indian market ki highly populated sub-4 meter segment me compete karta hai and iss year ke sales number kafi acche hai.
Tata Altroz
Tata Altroz, Tata Motors ke 2nd most selling vehicle hai in 2021 after Nexon. 2021 me Altroz ke 64,735 units sell hue hai. Altroz ko launch hue ab almost 2 year hone wala hai and iss car ne premium hatchback segment me kafi accha perform kiya hai. Iss car ke best sales number record hue in the month of March jahan 7,550 units sell hue.
Tata Tiago
After Altroz, Tata Tiago brand ki 3rd most selling vehicle hai for 2021. In 2021, Tata Tiago ke 61,194 units sell hue hai. Tata Tiago, entry level hatchback segment me compete karti hai with the likes of Celerio, Alto and Santro.
Tata Harrier
Tata Harrier ke 2021 me 25,804 units sell hue hai. Tata Harrier ko first 2018 me introduce kiya gaya tha and ye SUV instant hit ho gayi among the customers. Tata Harrier ko same platform par build kiya gaya hai jisme Range Rover ko built kiya jaata hai. Tata Harrier me ab automatic transmission bhi offer kiya jaata hai.
Tata Tigor
Tata Tigor, Tata motors ki only entry level sedan vehicle hai. Ye car fleet segment me kafi popular hai. 2021 me Tata Tigor ke 16,906 units sell hue hai. Recently, Tata Motors ne Tigor ke electric version Tigor EV ko launch kiya hai.
Tata Safari
Tata Safari, Tata Motors ki iconic SUV vehicle hai jisse first 1998 me introduce kiya gaya tha. 2019 me iss vehicle ko discontinue kar diya gaya tha but January 2021 me Tata Motors ne iss iconic SUV ko new avatar me introduce kiya. 2021 me Tata Safari ke 16,877 units sell hue hai.
Tata Punch
Tata Punch, brand ki latest offering hai in the Indian market. Tata ki SUV line-up pe smallest SUV hai Tata Punch. Tata Punch micro-SUV ko as HBX concept showcase kiya gaya tha in AutoExpo 2020. Due to the pandemic, iss car ke launch ko push karna pada aur Tata Motors ne iss car ko end of September me launch kiya. In only two months of its sale, Tata Punch ke already 14,563 units sell ho chuke hai.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.